ये रातें नयी पुरानी Yeh Raatein Nayi Purani Lyrics in Hindi – Julie

Yeh Raatein Nayi Purani Lyrics in English

Yeh raatein nayi purani
Yeh raatein nayi purani
Aate, aate jaate kehti hain koi kahani
Yeh raatein nayi purani
Aate, aate jaate kehti hain koi kahani

Aa raha hai dekho koi
Ja raha hai dekho koi
Sabke dil hain jaage jaage
Sabki aankhein khoyi khoyi
Khamoshi karti hai baatein

Yeh raatein nayi purani
Aate, aate jaate kehti hain koi kahani
Kya sama hai jaise khushbu
Udd rahi ho kaliyon se
Guzri ho nindiya mein palkon ki galiyon se
Sundar sapnon ki baraatein
Yeh raatein nayi purani
Aate, aate jaate kehti hain koi kahani

Kaun jaane kab chalengi
Kis taraf se yeh hawayein
Saal bhar to yaad rakhna
Aisa na ho bhool jaayein Is raat ki mulakatein
Yeh raatein nayi purani
Aate, aate jaate kehti hain koi kahani
Yeh raatein nayi purani
Aate, aate jaate kehti hain koi kahani

Yeh Raatein Nayi Purani Lyrics in Hindi

ये रातें नयी पुरानी
आते, आते जाते कहती हैं कोई कहानी

आ रहा है देखो कोई
जा रहा है देखो कोई
सब के दिल हैं जागे जागे
सब की आँखें खोई खोई
ख़ामोशी करती हैं बातें

क्या समा है जैसे ख़ुशबू
उड़ रही हो कलियों से
गुजरी हो निंदिया में
पलकों की गलियों से
सुन्दर सपनों की बरातें

कौन जाने कब चलेंगी
किस तरफ से ये हवाएं
साल भर तो याद रखना
ऐसा ना हो भूल जाए
इस रात की मुलाक़ातें

SHARE ON