Kitni Baatein Lyrics

KITNI BAATEIN LYRICS

Hoti hai kaisi bhala bebasi
Jaana hai maine toh bas ye abhi
Le chali kahaan ye zindagi
Kitni baatein aadhi adhoori

Kitni baatein hain jo tumse naa keh paaya main
Mujhe mili wahaan wafaa jahaan saansein hui hai khafa

Mutthi se paani ki tarah bahi
Ummedein woh teri meri sabhi
Mutthi se paani ki tarah bahi
Ummedein woh teri meri sabhi

Ab ye manzar hai sab banzar hai
Kya zameein kya jahaan
Kitni baatein aadhi adhoori
Kitni baatein hain jo tumse naa keh paaya main

Lamhe woh aankhon se risane lage
Yaadon me sab meri jo the jame
Lamhe woh aankhon se risane lage
Yaadon me sab meri jo the jame

Woh tadapte hain, mujh se ladte hai
Hashr hoga ye naa tha pataa

SHARE ON