Aaj Jaane Ki Zid Na Karo Lyrics

AAJ JAANE KI ZID NA KARO LYRICS

Aaj jaane ki zid na karo
Aaj jaane ki zid na karo
Yunhi pehlu mein baithe raho
Yunhi pehlu mein baithe raho
Aaj jaane ki zid na karo
Aaj jaane ki zid na karo

Haaye mar jaayenge
Hum to lutt jaayenge
Aisi baatein kiya na karo
Aaj jane ki zid na karo
Aaj jane ki zid na karo

Tumhi socho zara
Kyun na roke tumhein
Tumhi socho zara
Kyun na roke tumhein
Jaan jaati hai jab uth ke jaate ho tum
Jaan jaati hai jab uth ke jaate ho tum
Tum ko apni kasam jaan-e-jaan
Baat itni meri maan lo
Aaj jane ki zid na karo
Aaj jane ki zid na karo

Waqt ki qaid mein zindagi hai magar
Waqt ki qaid mein zindagi hai magar
Chand ghadiyan yehi hain jo aazaad hain
Chand ghadiyan yehi hain jo aazaad hain
Inko khokar meri jaan-e-jaan
Umra bhar na taraste raho
Aaj jaane ki zidd na karo
Aaj jaane ki zidd na karo

Kitna masoom rangeen hai yeh sama
Husn aur ishq ki aaj mairaaj hai
Husn aur ishq ki aaj mairaaj hai
Kal ki kis ko khabar jaan-e-jaan
Rok lo aaj ki raat ko
Aaj jaane ki zidd na karo
Aaj jaane ki zidd na karo

Haaye mar jaayenge
Hum toh lutt jaayenge
Aisi baatein kiya na karo
Aaj jaane ki zid na karo
Aaj jaane ki zid na karo..

SHARE ON