Main Teri Yaadon Mein Lyrics

MAIN TERI YAADON MEIN LYRICS

Main teri yaadon mein khoya
Main teri yaadon mein uljha
Main teri yaadon mein khoya
Main teri yaadon mein uljha

Teri yaadon ka hai samaa
Tere bin main, main na rahaa
Teri yaadon ka hai samaa
Tere bin main, main na rahaa

Shaam-o-seher kaise
Lagte zeher jaise
Tere bagair aise o…
Socha nahin kaise
Hoon darbadar jaise
Hogi basar aise o…

Khamoshiyan hain khata meri
Tanhaiyan hai sazaa meri
Samjha rahi hai ye dooriyan
Teri meri nazdeekiyaan

Haan teri yaadon ke gham hain
Hai teri yaadon ki khushiyaan
Haan teri yaadon ke gham hain
Hai teri yaadon ki khushiyaan

Tere bin jeena kya mera
Tere bin main, main na raha
Tere bin jeena kya mera
Tere bin main, main na raha

Sabko khabar hai ye
Meri seher hai tu
Kya bekhabar hai tu o…
Itni zara si toh
Haan hai tujhe kehni
Kehde nazar se tu o…

Kya itni hai majbooriyan
Kyun itni naa manzooriyan
Ik mukhtasar si baat hai
Phir zindagi bhar ka saath hai

Main teri yaadon mein jaaga
Main teri yaadon mein soya
Main teri yaadon mein jaaga
Main teri yaadon mein soya

Tere bin jeena kya mera
Tere bin main, main na raha
Tere bin jeena kya mera
Tere bin main, main na raha

SHARE ON