Main Yeh Soch ke Uske Dar Se Utha Lyrics

MAIN YEH SOCH KE USKE DAR SE UTHA LYRICS

Main yeh soch ke uske dar se utha tha
Ki woh rok legi mana legi mujhko
Hawaaon mein lehraata aata tha daaman
ki daaman pakad ke bitha legi mujhko
Qadam aise andaaz se uth rahe the
Ki aaawaz deke bula legi mujhko
Magar usne roka na usne manaya
Na daaman hi pakda, na mujhko bithaya
Na aawaaz hi di, na waapas bulaya

Main aahista aahista… badhta hi aaya
Yahaan tak ki us se juda ho gaya main
Yahaan tak ki us se juda ho gaya main
Juda ho gaya main
Juda ho gaya main
Juda ho gaya main
Juda ho gaya…..

 

SHARE ON