Mehangai Lyrics

MEHANGAI LYRICS

Bhaiya dekh liya hai bahut teri sardari re
Ab to humri baari re naa..

Mehangai ki mahamaari ne humra bhatta bitha diya
Chale hataane gareebi, gareebon ko hata diya
Haa..
Mehangai ki mahamaari ne humra bhatta bitha diya
Chale hataane gareebi, gareebon ko hata diya
Sarbat ki tarah desh ko
Sarbat ki tarah desh ko gatka hai gatagat
Aam aadmi ki jeb ho gayi hai safachat
Sarbat ki tarah desh ko gatka hai gatagat
Aam aadmi ki jeb ho gayi hai safachat
Aam aadmi ki jeb ho gayi hai safachat

Bhaiya dekh liya hai bahut teri sardari re
Ab to hamri baari re naa.. (x2)

Birla ho ya Tata, Ambani ho ya Bata
Sabne apne chakkar mein des ko hai kaata (x2)

Arey humre hi khoon se inka
Humre hi khoon se inka
Engine chale dhakadhak
Aam aadmi ki jeb ho gayi hai safachat
Aam aadmi ki jeb ho gayi hai safachat

Ab to nahi chalegi teri ye rangdari re
Ab to humri baari re na.. (x2)

Bajao bhaiya dholaki, bajao duga dugi
Bajao bhaiya dholaki, bajao duga dugi

Inke court kachehari thaane karte jhoot case paimane
Inka bataidar kaanoon karta gaanv-gaanv me khoon (x2)

Arey, halwa samajh ke bhoos ye
Halwa samajh ke bhoos ye khate hain gapagap
Aam aadmi ki jeb ho gayi hai safachat
Aam aadmi ki jeb ho gayi hai safachat
Ab to nahi chalegi teri ye thaanedari re
Ab to humri baari re naa…

Ghar bech do apna ya bech do sapna
Ye na dakaar lenge bus itna yaad rakhna (x2)
Arey humre hi khoon se inka
Humre hi khoon se inka
Engine chale dhakadhak
Aam aadmi ki jeb ho gayi hai safachat
Aam aadmi ki jeb ho gayi hai safachat

Ab to nahi chalegi teri ye thaanedari re
Ab to humri baari re naa…

Arey arey arey ra ra ra…

SHARE ON